Manav man ki anubhuti jab shabdo ke madhyam se ras or chandh se alankrat
ho kar kagaj par utarti he to vah kavita, gajal, geet ya chopaiyo ka
roop dharan kar kavyanubhuti ban jati he
Avyavasthao par jab riday dravit ho kar hunkar bharne lagta he to oj
kavya ho kata he or vahi riday jab kisi rupsi ke sondarya ka varnan
karta he to shringar ka geet ban jana he ya najakat roop liye vah varnan
gajal ho jati he
Meri is krati me meri 41 sarvshreshth rachnao ka mene samavesh kiya he
jo aap sudhijano ko avashya hi anandit karega is pustak ko ap meri anya
kratiyo ki hi tarah prem denge iska mujhe purn vishwash he
In panktiyo ke sath yah kavyanubhuti aap sabhi ko samarpit...
Meri kalam se chingaria bolti he
Hukumato ki sari pole kholti he
Lekhni jab sach ka aaina dikhati he
Tab unke anucharo ki besharmi bolti he
-Shailendra jain ""shekhar""